Google Pay Account Kaise Banaye: Aaj hum Google Pay par account kaise banaye iske bare me sikhenge. 2017 me, Google online payment segment me enter kiya aur Google Tez naam se ek app launch kiya. Baad me ise Google Pay ke naam se rename kiya gaya. Is app ki help se aap easy way online paise send ya Received kar sakte hai, saath hi aap online recharge, bill payment aur cashless transactions kar sakte hai

Read Also: Google Pay Mein UPI Activation Ke Liye Aadhaar-Based Authentication Kaise Enable Karein

Ye app seedhe taur par aapke bank account se juda hota hai aur saare transaction direct bank se hote hai. Isliye ye app ek bahut usefull app hai. Chaliye jante hai Google Pay account kaise banaye.

Google Pay par account kaise banaye? (How to Create Google Pay Account in Hinglish)

Google Pay account banane ke liye, neeche diye gaye steps ko dhyan se follow kare:

Google Pay: Account Kaise Banaye? Step-by-Step Guide in Hinglish
Google Pay account kaise banaye

Sabse pehle, Google Play Store par jaye aur Google Pay ko download kare.
Iske baad, use install kare aur open kare.
Ab apne bank account se jude mobile number ko enter kare aur "Next" par click kare.
Ab apna email account enter kare aur "Next" par click kare.
Ab aapke mobile par ek OTP aayega, jo ki khud hi detect ho jayega ya fir aap khud bhi enter kar sakte hai.
Iske baad, aapse Google Pay ko secure karne ke liye ek phone screen lock ya Google PIN create karne ke liye kaha jayega, inme se koi ek option choose kare.
Ab "Continue" par click kare aur kisi bhi permissions ko allow kare jo maangi jaye.

Aapka Google Pay ab use ke liye ready hai. Ab neeche diye gaye steps ko follow karke bank account add kare.

Read Also: Bina Internet Ke UPI Payments Kaise Karein

Google Pay me bank account kaise add kare?

Upari daaye kone me profile icon par click kare.
Ab "Settings" par click kare.
Ab "Payment Methods" par click kare.
Ab "Add Bank Account" par click kare.
Aapke saamne ek bank list aayegi, usme se apna bank choose kare. (Jisme aapka account ho aur mobile number register ho)
Bank choose karne ke baad, "Allow" permissions par click kare.
Iske baad, aapko mobile number dikhaya jayega aur bank ke saath verify karne ke liye kaha jayega.
Ab "Send SMS" par click kare.
Ab aapka bank account verify hoga. Verify hone ke baad, "Continue" par click kare.
Ab aapko apne bank ke ATM card ke aakhiri 6 digit enter karne hai.
Card ki expiry date "Expires" me enter kare.
Ab next icon par click kare.
Ab "Create PIN" par click kare.
Ab aapke phone par bank se ek OTP aayega, use enter kare. OTP enter karne ke baad, apna 6 number UPI PIN create kare. (Is UPI PIN ko yaad rakhe, aapko is PIN ki zaroorat padegi jab bhi aap recharge karenge)
UPI PIN enter karne ke baad, ise confirm karne ke liye dobara enter kare.
Ab done par click kare. Aapka bank account add ho jayega.

Ab aap Google Pay use karke online recharge, bill payment aur cashless transactions kar sakte hai.

Read Also: Google Pay, PhonePe, Paytm aur BHIM App Mein Apna RuPay Credit Card link Kaise Karein

Google Pay Account Kaise Banaye: Conclusion

Ummid hai aapko meri article "Google Pay par account kaise banaye" (How to Create an Account on Google Pay in Hindi) pasand aayi hogi. Maine apne best se is article me "Google Pay par account kaise banaye" se judi har jankari ko samjhane ki koshish ki hai, simple aur saral shabdon me, taki aapko is article ke sandarbh me kisi aur site par jane ki zaroorat na ho.

Google Pay Account Kaise Banaye: (FAQ)

Google Pay Account Kaise Banaye: (FAQ)

Q: Google Pay kya hai?

A: Google Pay ek online payment app hai jisse aap paise bhej sakte hai, prapt kar sakte hai aur online recharge kar sakte hai.

Q: Google Pay ka istemal kaise kare?

A: Google Pay ka istemal karne ke liye, aapko sabse pehle app ko download karna hoga. Fir aapko apne mobile number aur email enter karna hoga. OTP verification ke baad aap bank account add kar sakte hai. Ab aap Google Pay ka istemal karke online transactions kar sakte hai.

Q: Google Pay me bank account kaise add kare?

A: Bank account add karne ke liye, aapko Google Pay app me jaana hoga, profile icon par click karna hoga, "Settings" me jana hoga, "Payment Methods" par click karna hoga aur phir "Add Bank Account" par click karna hoga. Bank account select karne ke baad aapko verification process complete karna hoga.

Q: Google Pay me UPI PIN kaise create kare?

A: UPI PIN create karne ke liye, aapko bank ke taraf se aaye OTP ko enter karna hoga. OTP enter karne ke baad, aapko 6 number ka UPI PIN create karna hoga. Is PIN ko confirm karne ke liye aapko dobara enter karna hoga.

Q: Google Pay se online recharge kaise kare?

A: Online recharge karne ke liye, aapko Google Pay app me jaana hoga, recharge section me jana hoga, mobile number enter karna hoga, recharge amount select karna hoga aur phir payment process ko complete karna hoga.

Q: Google Pay se paise kaise bheje ya prapt kare?

A: Paise bhejne ya prapt karne ke liye, aapko Google Pay app me jaana hoga, "Send" ya "Receive" section me jana hoga, sahi details enter karna hoga, aur payment process ko complete karna hoga.

Q: Google Pay par transactions secure hai?

A: Haan, Google Pay par transactions secure hai. Ye app aapke bank account se seedhe juda hota hai aur aapki personal information ko protect karta hai.

Q: Google Pay ka istemal karne ke liye koi charges lagte hai?

A: Google Pay ka istemal karna bilkul muft hai. Aapko kisi bhi tarah ke transaction charges ya fees nahi deni padti hai.

Q: Google Pay ka istemal karne ke liye kisi specific bank ka account hona zaroori hai?

A: Nahi, Google Pay ka istemal karne ke liye aapko kisi bhi bank ka account rakhna zaroori nahi hai. Aap apne bank account ko Google Pay se jod sakte hai, chahe wo kisi bhi bank ka ho.

"Google Pay: Account Kaise Banaye? Step-by-Step Guide in Hinglish"